Jo Taar Se Nikli hai Wo DHUN Sab Ne Suni Hai
Jo saaz Pe Giri Hai Wo Kis Dil Ko Pata
Labels
- A writes
- Allama Iqbal
- Barsat
- BhooL
- Cigratte
- Dard
- Dooriyan
- Dua
- eid
- Ghazal
- Haseen
- Heart Touching Ghazal
- Hont
- Intezar
- Ishq
- Kasam
- Khamoshi
- Khuwaish Cigratte
- Kismat
- listen online qawwali
- mirza ghalib
- Mohabbat
- mohsin naqvi
- nafrat
- NaseeB
- nazroon Qayamat
- Nfak.
- parveen shakir
- Poetry with picture
- Pyaar
- sad poetry
- Sanam
- Song Lyrics
- Udaas
- Urdu poetry
- Wafa
- Yaad
- Zakhmon
- Zidd
- Zindagi.
Showing posts with label Intezar. Show all posts
Showing posts with label Intezar. Show all posts
Tuesday, March 13, 2018
Monday, December 12, 2016
Wednesday, November 9, 2016
Thursday, October 20, 2016
Sunday, August 28, 2016
Monday, July 25, 2016
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha
Jahan Phooloun Ko Khilna Tha, Waheen Khiltey To Acha Tha
Tumhi Ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha
Koi Aa Kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai Par
Tumhare Khat Ko Ashkoun Se, Shab-E-Gham Mein Jalaya Hai
Hazaroun Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha
Tumhi Ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha
Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad Aayi Hai
Bahar-E-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai
Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha
Tumhi Ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha
Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadoun Ki Jhilmil Mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein
Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha
Tumhi Ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha
Aa Kisi Shaam Kisi Yaad Ki Dehleez Pe Aaa…
Aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pay aa
Umer guzri tujhay dekhay hoay, behlaye hoay
yaad hay?
hum tujhay dil mantay thay
apnay seenay mai machlta hoa ziddi bacha
tere har naaz ko oungli pakar kar aksar
nit naye khawab k bazar mai lay aatay thay
tere har nakhray ki farmaish par
ik jewan tamanna’oun ki beenaye say hum dekhtay thaktay he na thay,
sochtay thay
ik chota sa naya ghar
naya mahoul
mohabbat ki fiza
hum donoun
aur kisi baat pay takiyoun say larai apni
phir larai mai kabhi hastay hoay rou parna
aur kabhi rotay hoay hans parna
aur thak haar k gir parnay ka masoum khush bakhsh khayal
yaad hay?
hum tujhay sukh jantay thay
raat hans parti thi be-sakhta darshan say tere
dil teri duuri say rou parta tha
yaad hay?
hum tujhay jaan kehtay thay
teri khamoshi say hum mar jatay thay
teri aawaz say jee uthtay thay
tujh ko chu lenay say aik zindagi aa jati thi sharyanoun mai
thaam lenay say koi shehar sa bas jata tha weranoun mai
yaad hay?
hum tujhay milnay k liye
waqt say pehlay pochanch jatay thay
aur mulaqaat k ba’ad
hum bohat der say ghar aatay tau kehtay k humain khuch na kaho
hum bohat duur say ghar aaye hain
es qadar duur say aye hain keh shaid he koi aa paye
yaad hay?
hum tujhay bhagwan samajhtay thay magar kufar say dar jatay thay
tere chin janay ka dar theek say rakhta tha musalman humain
yaad hai? …… yaad hai?
aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pay aa
tere bholay hoay rastoun pay liye phirta hay iman humain
aur kehta hay keh pehchan humain
yaad hay?
hum tujhay iman kaha kartay thay
Wednesday, July 20, 2016
Monday, July 11, 2016
Sunday, July 10, 2016
Subscribe to:
Posts (Atom)