Bat Nikle Gi To Phir Bht Door Tak Jaye Gi
Baat nikle gi to phir door talak jayegi
log be wajha udaasi ka sabab poochaingy
yeh bhi poochaingy ke tum itni pareshan kion ho
unglian uthaingi sookhy huye baloon ki taraf
ik nazer dekhaingy guzrey huye saloon ki taraf
chhoorion per bhi kayi tanz kiye jaaingy
kanpty hathoon pey bhi fikrey kassey jaaingy
Log zaalim hain har ik baat ka taana daingy
baatoon batoon main mera zikar bhi le aaingy
unki baatoon ka zara sa bhi asar mat lena
werna chehry ketaasur sey samjh jaaingy
chaahe kuchh bhi ho sawalaat na kerna unsey
mery baarey main koi baat na kerna unsey
baat nikley gi to phir door talak jayegi