Aaj ki baat phir ni hogi Yeh mulaqat phir ni hogi Aisay badal tu phir b ayen ge Aisi barsaat phir ni hogi
Raat un ko b yun huwa mehsoos Jese ye raat phir ni hogi Ek nazar mor k dekhne wale Kya ye khairaat phir ni hogi
Mai ne masoom baharo me tumhe dekha hai Mai ne pur noor sitaro me tumhe dekha hai Mere mehboob teri parda nashini ki qasam Mai ne ashko ki qataroo me tumhe dekha hai
Hum buto ko jo pyaar kerte hain Naqal e parwrdigar kerte hain Itni qasmain na khao ghabra ker Jao hum aetbar kerte hain
Ab bhi aa jao kuch ni bigra Ab bhi hum intezar kerte hain Saaz-e-hasti baja raha ho mai Chashm e masti mana raha ho me
Kya ada he nisar hone ki Un se pehlo bacha raha ho me Kitni pukhta he meri nadani Tujh ko tujh se chupa raha ho
Dil dobota ho chashm-e-saqi ma Main ko main ma mila raha ho me Na hum samjhe na tum aye kahin se Pasina puchye apni jabeen se
Hai kahan ka irada tumhara sanam Kis k dil ko adaao se behlao ge Sach batao k is chandni raat me Kis se wada kya ha kahan jao ge
Dekho acha ni he tumhara chalan Ye jawani k din or ye shukhiyan Yun na aaya karo baal khule howay Warna dunya me bad naam ho jao ge
Aaj jao na bechain ker k mujhe Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he
Zulf rukh se hata k baat karo Raat ko din bana k baat karo Mae kaday k chiragh madham hain Zara ankhain utha k baat karo
Phool kuch chahye huzoor humain Tum zara muskara k baat karo Ye bhi andaz-e-guftugo he koi Jab karo dil dukha k baat karo
Aaj jao na bechain ker k mujhe Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he Hum tarapte rahe ge yahan raat bhar Tum tu aram ki neen so jao ge
Paas aao tu tum ko lgayen galay Muskurate ho q door se dekh ker Yun hi guzre agar ye jawani k din Hum b puchtayen ge tum b puchtao ge
Be wafa be murawwat he unki nazar Yeh badal jain ge zindagi dhoond ker Husn walo se dil ko lgaya agar ae fana Dekho be mout mar jao ge..!!
Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya loot gaye hum to pehli mulaqat mein
Dil lout liya iman lout liya Khud Tarap kar on ke janib dil gaya Sharab seekh pay dali kabab sheeshay main Hum pa assa jadoo kiya Unki nazroo nay
Zindagi Doob Gai on ke Hasin ankhon main Youn mera piyar ka afsanay ko anjam mila Kafiyat-e-chasam oski mujha yaad hai Souda Sagir ko mera hath sa lana ka chala main
Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Ik dil hi nahi us bas mein Hum na jaane kiya kiya bhul gaye
Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Gairon ke fasane yaad rahe Hum apna fasana bhul gaye
Wo akkay ajj samnay is shaan sa gaya Hum dekhta he dekhtay Imaan sa gaya Kya kya nigah e yaar me taseer ho gayi Bijli kbhii bani kabhi shamsheer ho gayi
Bigri tu aa bani Dil-e-Ishq ke jan per Dil mian outar gai tu nazar teer ho gayi Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi Humne bachai lakh magar phir udar gayi
Unki nigah mein koi jadoo zaroor Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi Wo muskar ka dekhna on tu thi adda Hum ba taray tarap outha aur jan sa gayi
Attay he onkay bazam kuch is tarhay howa Seesha say rind Shiekh bhi Quran sa gayi Oun ankhoo ka liya dil pa assar jatay hain Mainkday hath bharhatay hai jidhar jatayian hain
Bhoolte he nahi dil ko mera mastana nigha Sath jata hai ye Mainkhana jidhar jatayian hain On ka andaz nay mujha ko bakhuda lout liya Dai ka majboor ko paighame-e-wafa lout liya
Samna hota he jo kuch mila lout liya kya batoon kay nazar miltay he kya lout liya Nargasi ankhon na Iman mera lout liya
Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain Khoye khoye se hum reh gaye hain Bant li sabne aapas mein khushiyaan Mere hisse mein ghum reh gaye hain
Ab na uthna sarhane se mere Ab to ginti ke dum reh gaye hain Din kata jiss tarhay katta lakin raat katti nazar nahi atti
Dil zindgai sa tang hai jeena say Sair hai Pemana bhar chuka hai chalknay ke dair hai Qaafila chal ke maanzil pe pahuncha Thehro thehro mein hum reh gaye hain
Dekh kar un k mangto ki ghairat Dang ehal-e-karam reh gaye hain Un ki sattariyan kuch na pucho Aasiyun k bharam rah gaye hain
Ae sabaa ik zehmat zara phir Unki zulfon mein hum reh gaye hain Qayenaten jafaawon wafaaon mein Eik tum eik hum reh gaye hain
Aaj saqi pila shaikh ko bhi Ek ye mohtaram reh gaye hain Dour-e-Mazi ke tasveer akhir Aya naseeb ek hum raah gaya hain
Nazar mila ka meray pass akay lout liya Khuda ka liya apni nazron ko rouko mera dil lout liya Jis taraf uth gai he aahain hain Chashm e baddoor kya nigahain hain
Dil ko oulat poulat ka dikhanay sa faida Keh tou diya kay bus lout liya lout liya Hai dosti tu janib-e-dushman na dekhna Jadu bhara howa hai tumhari nigha main
Karon tareef kya teri nazar ke dil lout liya Nazar mila ka meray pass akay lout liya Nazar hati thi ka phir muskra ka lout liya Koi ya lout tu dekho ka osnay jab chaha Mujha main rah ker muje main saman ka lout liya
Na louta hum agar on must ankhiyun na jigar Nazar bachatay howay doob doba ka lout liya
Saath apna wafa main na Chootay kabhi Piyar ke dour ban kar na tootay kabhi Chout jaya zamana koi ghum nahi Hath tera rahay bus mera hath main
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Yeh Sulakti sham yeh tanhaiyan Badlon ka sath hum bhi rou diya Jahan ankhen barsti rahti hoon barsat se pehlay Waha barsat main badal baras janay sa kya hoga
Yeh beghi rat aur barast ke hawain jitna bhola raha outna yaad aa rahain hain Yeh badal jhoom kar aya tou hain shen-e-gulstan per Kahin pani na phar jaya kisi ke ehad-o-Painman per
Loug Barast main sou jatain hain khush khush laikn Mujh ko in ankhon ke barsat nay sona na diya Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo Raat andheri hai badaal hain chhaye huye
Ruk bi jao sanam tum ko meri qasam Ab kahan jaoge aisi barsaat mein Jiss tarha chaya wo azma la humain Muntazir hain bus un ka isharay pa hum
Muskara kar fanaa wo talab tou karain Jaan bhi apni da dain ga sougat main Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein
Jane wale humari mehfil say Chaand taaro ko sath leta ja Hum khizaan se nibah ker len ga Tu baharo ko sath leta ja Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai Saadgi main bhi qayamat ki ada hoti hai Tum jo aa jate ho masjid me ada kerne namaz Tum ko maloom he kitno ki qaza hoti hai Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage Tu roz roya kre outh k chaand raato main Khuda kare tera merey begar ji na lage Tanhai me faryaad tu ker sakta ho Virane ko abad tu ker sakta ho Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho Koi bhi waqt ho hans ker guzar leta ho Khizaan ka dor me ehad-e-bahar leta ho Gul o se rang sitaroon se roshni le ker Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi Sochta ho kay wo kitne masoom thay Kya se kya ho gaye dekhte dekhte Main ne pathar se jin ko banaya sanam Wo khuda ho gaye dekhte dekhte Jin pathro ko hum ne ataa ki thi dharkane Wo bolne lage tu hum hi pe baras pare Mera hathon se tarashay howay pathar k sanam Mera hi samne Bhagwan banay bethe hain Hashar hai wehshat-e-dil ki awargi Hum se pucho mohabbat ki deewangi Jo pata puchte the kisi ka kabhi La pata ho gaye dekhte dekhte Hum se ye soch ker koi wada karo Ek waday pe umeren guzar jain gi Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa Bewafa ho gaye dekhte dekhte Din chup gaya sooraj ka kahi naam nhi hai O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai Shab-e-wada ye raha kerte hain baten dil se Dekhain yaar aata he pehle ka qaza aati he Kal se be kal ho bhala khaak mujhe kal aaye Kal ka wada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye Roz ka intezar kon kare ap ka aitabar kon kare Ho chuka wada k kab aaiye ga dekhye ab na bhool jaiye ga Bhala koi wada khilafi ki had he Hisaab apne dil me laga ker tu socho Qayamat ka din aa gaya rafta rafta Mulaqat ka din badalte badalte Hum se ye soch ker koi wada karo Ek waday pe umeren guzar jain gi Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa bewafa ho gaye dekhte dekhte Ghair ki baat tasleem kya kijye Ab tu khud per bhi hum ko bharoosa nhi Apna saya smajhte the jin ko kabhi Wo juda ho gaye dekhte dekhte Sochta ho kay wo kitne masoom thay Kya se kya ho gaye dekhte dekhte..!!
Meney Sanam tujy payar keyaaaa hy ..... Sirf teraaaa intazar keyaaa hy.....💚 muj sy nighaye kahe phair na lenaaa...👌Meney to teraaaa aitabar keyaaa ......💛