Friday, December 16, 2016

Sochta hon kay wo kitne masoom thay

Jane wale humari mehfil say
Chaand taaro ko sath leta ja
Hum khizaan se nibah ker len ga
Tu baharo ko sath leta ja

Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai
Saadgi main bhi qayamat ki ada hoti hai
Tum jo aa jate ho masjid me ada kerne namaz
Tum ko maloom he kitno ki qaza hoti hai

Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage
Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage
Tu roz roya kre outh k chaand raato main
Khuda kare tera merey begar ji na lage

Tanhai me faryaad tu ker sakta ho
Virane ko abad tu ker sakta ho
Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin
Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho

Koi bhi waqt ho hans ker guzar leta ho
Khizaan ka dor me ehad-e-bahar leta ho
Gul o se rang sitaroon se roshni le ker
Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho

Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi
Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi

Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh
Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi
Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane
Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi

Sochta ho kay wo kitne masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte
Main ne pathar se jin ko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte

Jin pathro ko hum ne ataa ki thi dharkane
Wo bolne lage tu hum hi pe baras pare
Mera hathon se tarashay howay pathar k sanam
Mera hi samne Bhagwan banay bethe hain

Hashar hai wehshat-e-dil ki awargi
Hum se pucho mohabbat ki deewangi
Jo pata puchte the kisi ka kabhi
La pata ho gaye dekhte dekhte

Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Din chup gaya sooraj ka kahi naam nhi hai
O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai
Shab-e-wada ye raha kerte hain baten dil se
Dekhain yaar aata he pehle ka qaza aati he

Kal se be kal ho bhala khaak mujhe kal aaye
Kal ka wada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye
Roz ka intezar kon kare ap ka aitabar kon kare
Ho chuka wada k kab aaiye ga dekhye ab na bhool jaiye ga

Bhala koi wada khilafi ki had he
Hisaab apne dil me laga ker tu socho
Qayamat ka din aa gaya rafta rafta
Mulaqat ka din badalte badalte

Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa
bewafa ho gaye dekhte dekhte

Ghair ki baat tasleem kya kijye
Ab tu khud per bhi hum ko bharoosa nhi
Apna saya smajhte the jin ko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte

Sochta ho kay wo kitne masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte..!!

No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.