Labels
- A writes
- Allama Iqbal
- Barsat
- BhooL
- Cigratte
- Dard
- Dooriyan
- Dua
- eid
- Ghazal
- Haseen
- Heart Touching Ghazal
- Hont
- Intezar
- Ishq
- Kasam
- Khamoshi
- Khuwaish Cigratte
- Kismat
- listen online qawwali
- mirza ghalib
- Mohabbat
- mohsin naqvi
- nafrat
- NaseeB
- nazroon Qayamat
- Nfak.
- parveen shakir
- Poetry with picture
- Pyaar
- sad poetry
- Sanam
- Song Lyrics
- Udaas
- Urdu poetry
- Wafa
- Yaad
- Zakhmon
- Zidd
- Zindagi.
Showing posts with label Nfak.. Show all posts
Showing posts with label Nfak.. Show all posts
Wednesday, July 11, 2018
Gham hai ya khushi hai tu...
Gham hai ya khushi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Afaton ke daur mein... chain ki ghadi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Meri raat ka chirag... meri nind bhi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Main fiza ki shaam hun... rut bahar ki hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Doston ke darmayan... waj-he dosti hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Meri saari umr-a mein... ek hi kami hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Main to wo nahi raha... han magar wohi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Nase rishtayar mein... kitna ajnabi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Gham hai ya khushi hai tu,Meri Zindagi hai tu...
Aadmi Aadmi Se Milta Hai
Aadmi Aadmi Se Milta Hai
Dil Magar Kam Kisi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Bhool Jata Hoon Mein Sitam Us Ke
Woh Kuch Is Saadgi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Mil Ke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta
Toot Ker Dil Usi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Aaj Kia Baat Hai Ke Phoolon Ka
Rung Teri Hasi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Silsila Fitna-E-Qayamat Ka
Teri Khush-Qaamti Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Karobaar-E-Jahaan Sanwarte Hein
Hoosh Jab Bekhudi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Se Milta Hai
Dil Magar Kam Kisi Say Milta Hai
Aadmi Aadmi Say Milta Hai
Mera Gham Aur Meri Har Khushi Tumse Hai
Janeman Yeh Meri Zindagi Tumse Hai
Ae meri jane jan a meri meherban
Tumse rageen hai yeh zameen aasman
Tum se abaad hai mere dil ka jahan
Tum mera chaand hoo chandni tum se hai
Tu Nishani Mohabbat ki Manzil Ki Hai
Tere Dum Se Haseen Anjuman Dil Ki Hai
Sari roonaq tum se ye mehifl ki hai
Shamme mehfil ho tum rooshni tum se hai
Faisla hai yehi, baat hai yeh atal
Husn walo mein tera nahi hai badal
Geeet ka husn tum ho jane ghazal
Shayaron ki hansi shayari tum se hai
Mera Gham Aur Meri Har Khushi Tumse Hai
Janeman Yeh Meri Zindagi Tumse Hai
Janeman Yeh Meri Zindagi Tumse Hai
Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi
Jism Jaisay Nigaahon Pay Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi
Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni
Jism Jaisay Ke Khilta Hoi Aik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hoa Dil-kash O Dil-nasheen
Sandali Sandali, Marmari Marmari
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal
Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lail Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan
Chehra Jaisa Ki Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aankhein Daikhe To Mein Daikhta Reh Gaya
(Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha)
Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein
Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi
Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi
Aankhein Jin Mein Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Zulf E Janaan Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan
Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho
Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Subscribe to:
Posts (Atom)