Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi
Jism Jaisay Nigaahon Pay Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi
Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni
Jism Jaisay Ke Khilta Hoi Aik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hoa Dil-kash O Dil-nasheen
Sandali Sandali, Marmari Marmari
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal
Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lail Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan
Chehra Jaisa Ki Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aankhein Daikhe To Mein Daikhta Reh Gaya
(Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha)
Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein
Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi
Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi
Aankhein Jin Mein Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Zulf E Janaan Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan
Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho
Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
No comments:
Write Comments