Friday, December 16, 2016

Kehna ghalat ghalat tou chupana sahi sahi

Tanhai me faryaad tu ker sakta ho
Virane ko abad tu ker sakta ho
Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin
Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho

Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage
Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage
Tu roz roya kre outh k chaand raato main
Khuda kare tera merey begar ji na lage

Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai
Saadgi main bhi qayamat ki ada hoti hai
Tum jo aa jate ho masjid me ada kerne namaz
Tum ko maloom he kitno ki qaza hoti hai

Yea jo dewnay sa dou chaar nazar atay hain
In main kuch Shaib-e-Asrar nazar atay hain
Teri mehfil ka bharum rakhtay hain sou jatay hain
Warna yea log tou bedar nazar attay hain

Meray daman main tou kantoon ka siwa kuch bhi nahi
App phoolon ka kharidar nazar attay hain
Hashar main kon Ghawhe meri dega Sagir
Sab tumharay he tarf daar nazar attay hain

Qaasid payam-e-khat ko daina bohot na tool
Bus mukhtasir yeh kehna k ankhain taras gayi
Kehna ghalat ghalat tou chupana sahi sahi
Qasid kaha jo us ne batana sahi sahi

Ye subho subho cheahre ki rangat uri uri
Kal raat tum kahan thay batana sahi sahi
Mai ne pucha k kal shab kahan the pehle sharmaye phir hans k bole
Baat kyun aisi tum puchte ho jo batanay kay qabil nahi hai

Ye uri uri si rangat ye khule khule se gaso
Teri subho keh rahi he teri shaam ka fasana
Na hum samjhe na tum aye kahi se
Paseena puchye apni jabeen say

Dil le k mera hath me kehte hain muj se wo
Kya lo ge is k daam batana sahi sahi
Ankhain milao ghair se tu hum ko janna
Saqi tumhe qasam he pilana sahi sahi

Nasha pila k girana tu sab ko aata he
Maza tu tab he k girton ko thaam le saqi
Nasha emaan hota he surahi deen hoti he
Jawani ki ebadat kis tarah rangeen hoti he

Sharab-e-aab ko do aatisha bana k pila
Sharab kam he tu saqi nazar mila k pila
Sharab ka koi apna sarih rang nhi
Sharab tajziya e ehtisaab kerti he

Jo ehal-e-dil hain barhati he aabroo un ki
Jo be shaoor hain un ko kharab kerti he
Ae mae faroosh bheer he teri dukaan per
Gahak hain hum bimaar dikhana sahi sahi

Sajid tu jaan o dil se faqat ap ka he bs
Kya ap b hain us k batana sahi sahi
Kehna ghalat ghalat tou chupana sahi sahi
Kehna ghalat ghalat tou chupana sahi sahi

No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.