Wednesday, December 21, 2016

tum agar yun hi nazrein milate rahe lyrics

tum agar yun hi nazrein milate rahe
maikashi mere ghar se kahan jayegi

aur ye silsila mustaqil ho toh phir
bekhudi mere ghar se kahan jayegi

ik zamane ke baad aayi hai shaam e gham
shaam e gham mere ghar se kahan jayegi

meri kismat mein hai jo tumhari kami
wo kami mere ghar se kahan jayegi

shama ki ab mujhe kuch zaroorat nahi
naam ko bhi shab e gham mein zulmat nahi

mere har daag e dil kam nahi chand se
chandni mere ghar se kahan jayegi

tune jo gham diye wo khushi se liye
tujhko dekha nahi phir bhi sajde kiye

itna mazbot hai jab aqeeda mera
bandagi mere ghar se kahan jayegi

zarf wala koi saamne aaye toh
main bhi dekhun zara iss ko apnaye jo

meri hamraaz ye iska hamraaz main
bekasi mere ghar se kahaan jayegi

jo koi bhi teri raah mein marr gaya
apni hasti ko wo javedan kar gaya

main shaheed e wafa ho gaya hoon to kya
zindagi mere ghar se kahan jayegi

No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.