Friday, December 16, 2016

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
shikwa kia sitam ka to 
tum to zara si baat per ranjida ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

tera zulm nahi hai shamal gar meri barbadi mein
phir yeh aankhein bheeg rahi hein kiyoon mere afsanay say
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

meri halat daikh ker tum kiyoon pareshaan ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
vocables
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
aap ka aise baaton say kia wasta
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap ne kiss liyeh mo udhar ker lia

jab tulu aaftab hota hai gham ke sagir uchal deta hoon
tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap to bewafa aur sitamgar nahi

kiyoon aankh milayi thi kiyoon aag lagai thi
ub rukh kiyoon chupa baithay ker ke mujhe deewana
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap to bewafa aur sitamgar nahi

zindagi-bhar ke shikway gilay thay bohot
waqt itna kahan tha ke dohratay hum
aik hijki mein keh dali sub dastaan
hum qissay ko yoon mukhtasar ker lia

beqarari milay gi milay ga sukoon
chain chin ja'ay ga neend urh ja'ay gi
apna anjaam sub hum ko maloom tha
aap say dil ka sauda magar ker lia

zindagi ke safar mein bohot door tak
jab koi dost aaya na hum ko nazar
hum ne ghabra ke tanhaioon say sada
aik dushman ko khud humsafar ker lia

Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebaar Aapke Waday Per Kar Liya
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebar Aapke Waade Per Kar Liya

No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.