Her Kali Mehve Khawab Ho Jati
Patti Patti Gulab Ho Jati
Tu Ne Dali Na Mehfisha Nazrein
Warna Shabnam Sharab Ho Jati
Ap Ke Waste Gunah Sahi
Hum piye To Sharab Banti Hai
So Ghamo Ko Nachorne Ke Baad
Ek Qatra Sharab Banti Hai
Daikh Ker Ap Ki Jawani ko
Arzo e Sharab Hoti Hai
Roz Toba Ko Torta Hu Mein
Roz Niyyat Kharab Hoti Hai
Saqiya Ek Jaam Peenay Se
Jannatien Larkhra Ke Milti Hai
Laala o Gul Salam Kerte Hai
Rehmatien Muskra Ke Milti Hai
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
K Saqi Raat Guzerne Wali Hai
De Piyar Bara Inaam
Ek Jaam Khanakhta Jaam
Mein Ne Maana Janab Peeta Hu
Ba Khuda Be Hisab Peeta Hu
Log Logo Ka Khoon Peetey Hai
Mein To Phir Bhi Sharab Peeta Hu
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Shikan Na Daal Jabeen Per Sharab Dete Hue
Yeh Muskuratu Hui Cheez Muskura Ke Pila
Saroor Cheez Ki Miqdar Per Nahi Moqoof
Sharab Kam Hai To Saqi Nazar Mila Ke Pila
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Dil Lagi Ka Azaab Pita Hu
Ban Ke Khana Kharab Pita Hu
Roz e Mehshar Hisab Ho Na Sake
Iss Liye Be Hisab Pita Hu
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
May Parasti Meri Ibadat Hai
Nasha Emaan Hota Hai Surahi Deen Hoti Hai
Jawani Ki Ibadat Kis Qadar Rangeen Hoti Hai
Dil Us Ka Namazi Ban Jaye
Ankh Us Ki Gulabi Ho Jaye
Tu Jis ko Mohabbat Se Daikhe
Saqi Woh Sharabi Ho Jaye
May Parasti Meri Ibadat Hai
Mein Kabhi Be Wuzu Nahi Pita
Mein Sharabi Sahi Magar Saqi
Aadmi Ka Lahu Nahi Pita
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Lehra Ke, Jhoom Ke La, Muskura Ke La,
Phoolon Ke Ras Mein Chand Ki Kirne Mila Ke La
Sagar Shikan Hai Shaikh Bala Nosh Ki Nazar
Sheeshe Ko Zair e Daman e Rangeen Chupa Ke La
Q Ja Rahi Hai Rooth Ke Rangeeni e Bahar
Jaye To Martaba Isse Phir Wargla Ke La
Kehte Hai Umar e Rafta Kabhi Lout'ti Nahi
Ja Maikadey Se Meri Jawani Utha Ke La
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Ek Jaam Khanakta Jaam
Saqi Raat Guzarne wali Ek jaam chanakta Jaam
Abaad Rahe Tera Maikhana
Ye Daam Ye Khum Ye Paimana
Sab Ker De Mere Naam
Ke Saqi Raat Guzarne Wali Hai
Kehte Hai Sakhi Sab Log Tujhe
To De Mat Khali Jaam Mujhe
Ho Jaye Ga Tu Badnaam
Ke Saqi Raat Guzarne Wali Hai
Teri Zulf Ki Chaoon Mein Pita Hu
Chahe Marta Hu Chahe Jeeta Hu
Mat Soch Mera Anjaam Ke
Saqi Raat Guzarne Wali Hai
Yaha Sirf Qateel Nahi Piyasa
Her Shakhs Hai Yaha Is Jesa
De Sab Ko Dawat e Aam Ke
Saqi Raat Guzarne Wali Hai
No comments:
Write Comments