Wednesday, July 11, 2018

Ab Dekh Ke Jee Gabrata Hai

ab dekh ke ji ghabrata hai sawan ki sohani raaton ko
piya chor gaye dil tour gaye ub aag lage barsaton ko

ey jan e mohabbat jan e ghazal aao to tumhari nazar karein
aankhon mein sajaye baithe hein hum pyar bhari soughaaton ko

yoon pyar ki qasmein kha kha ker kiyoon jhoti tassali dete ho
bus rehne do hum jaan gaye sirkar tumhari baaton ko

maska hoa anchal shaanon pe yeh zulf ki lat uljhi uljhi
aankhon ki khumari kehti hai rehte ho kaheen? tum raaton ko

zulfon ko hawa mein lehrana hans hans ke tumhara bal khana
andaz hein sub dil lene ke hum jaan gaye ni baaton ko

bedard haseeno ki khatir kiyoon hote ho badnaam fana
saffak sitamgar kia samjhe hum dilwalo ki baaton ko

ab dekh ke ji ghabrata hai sawan ki sohani raaton ko
piya chor gaye dil tor gaye ub aag lage barsaton ko

No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.