Wednesday, July 11, 2018

Bujhi Hui Shama Ka

Bujhi Hui Shama Ka
Hum Apni Shaam Ko Jab Nazar E Jaam Kartay Hein
Adab Say Hum Ko Sitaray Salaam Kartay Hein
Saja'ain Kiyoon Na Isay Yeah Sara'ay Hai Dil Ki
Yahaan Haseen Musafir Qayam Kartay Hein

Dil Ko Kaisay Bata Tasalli Doon
Chain Is Ko Agar Nahi Aata
Chashm E Purnam Ko Kaisay Samjhaoon
Is Ko Agar Tu Nazar Nahi Aata

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko
Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke
Tera Tasawwar Jama Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai
Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeah Bana Ker
Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat
Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein
Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon

Zubaan Pay Labaik Her Nafaz Mein
Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik
Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon


No comments:
Write Comments

© 2014 Poetry. Designed by Bloggertheme9
Powered by Blogger.